Mehndi hai Rachne waali

Mehndi hai rachne waali,
Haathon mein gehri laali
Kahe sakhiyaan, ab kaliyaan ,
Haathon mein khilne waali hain
Tere mann ko, jeevan ko
Nayi khushiyaan milne waali hai



Mehndi hai rachne waali, 
Haathon mein gehri laali
Kahe sakhiyaan, ab kaliyaan
Haathon mein khilne waali hain
Tere mann ko, jeevan ko
Nayi khushiyaan milnewaali hai 
O hariyali banno
Le jaana tujhko guiyyaan

Aane waale hai saiyyaan
Thamenge aake baiyyaan,
Goonjegi shehnaayi,  Angnaayi, angnaayi


  Mehndi hai rachne waali, 
Haathon mein gehri laali
Kahe sakhiyaan, ab kaliyaan
Haathon mein khilne waali hain
Tere mann ko, jeevan ko
Nayi khushiyaan milne waali hai

 
 
 

 

Gaaye maiya aur mausi,
Gaaye behna aur bhabhi
Ke mehndi khil jaaye,
Rang laaye hariyaali banni
Gaaye phoophi aur chaachi,
Gaaye naani aur daadi

Ke mehndi mann bhaaye, 
Saj jaaye hariyaali banni
Mehndi roop sanwaare, ho!
Mehndi rang nikhaare,ho!

Hariyaali banni ke aanchal mein
Utrenge tarein



 

 
Mehndi hai rachne waali, 
Haathon mein gehri laali
Kahe sakhiyaan, ab kaliyaan
Haathon mein khilne waali hain
Tere mann ko, jeevan ko
Nayi khushiyaan milne waali hai


Gaaje, baaje, baraati, ghoda,

Gaadi aur haathi ko
Laayenge saajan tere aangan, 
Hariyaali banni
Teri mehndi woh dekhenge
To apna dil rakhdenge woh
Pairon mein tere chupke se, 
hariyaali banni
Mehndi roop sanwaare, ho
Mehndi rang nikhaare, ho
Hariyaali banni ke aanchal mein 
Utrenge taarein

 


Mehndi hai rachne waali, 
Haathon mein gehri laali
Kahe sakhiyaan, ab kaliyaan
Haathon mein khilne waali hain
Tere mann ko, jeevan ko
Nayi khushiyaan milne waali hai
Nayi khushiyaan milne waali hai 
Nayi khushiyaan milne waali hai 

0 comments:

Post a Comment